Kaal (Kshar Purush) aur Srishti Utapatti ke mool Rahasya

Kaal (Kshar Purush) aur Srishti Utapatti ke mool Rahasya

1. Brahma, Vishnu aur Mahesh ke Mata-Pita (Mother-Father) kon hai?

Brahma, Vishnu aur Mahesh ke mata-pita ke baare me authentic aur spiritual gyan (knowledge) granthon ke basis par dekhein, to Brahma, Vishnu aur Mahesh ke janm ka ullekh ved aur purano ke madhyam se alag-alag vyakhyan me milta hai.

Brahma, Vishnu aur Mahesh ke Mata-Pita:

Sabhi pavitra granthon aur shastron ke anusaar, Brahma, Vishnu aur Shiv ki utapatti hoti hai aur inke mata-pita hai:

  • Mata: Adi Shakti Durga (Prakriti)
  • Pita: Kaal Brahm (Jyoti Niranjan, Kshar Purush)
  1. Mata (Mother): Devi Durga ko kafi spiritual granthon me Brahma, Vishnu aur Mahesh ki mata kaha gaya hai. Devi Durga ko prakriti aur sabhi jeevon ki janani maana gaya hai.
  2. Pita (Father): Adhyatmik granthon ke anusaar, Brahm jo (Jyoti Niranjan Kaal) hai, ko Brahma, Vishnu aur Mahesh ke pita maana gaya hai. Inko kayi jagah Kshar Purush bhi kaha jata hai.

Proof:

Mostly According to Devi Bhagwat Puran ke anusaar Brahma, Vishnu aur Shiv ke Mata-Pita:

Devi Bhagwat Puran, Skandh 3, Adhyay 4-5, Page 138 ke anusaar, Adi Parashakti Durga ko srishti ki janani aur sabhi devtaon ki maatr ke roop me varnan kiya gaya hai. Is granth ke anusaar, Durga maa hi Brahma, Vishnu aur Shiv ki mata hain aur unhone in devtaon ko janm diya hai. Durga maa ne Brahma ko srishti rachna, Vishnu ko srishti palan, aur Shiv ko sanhar ka karya diya, jo ki srishti ke trigunatmak karyon ke mool hai. Yeh bhi spasht hai ki Durga maa ki shakti aur mahatva asim hai aur ve samast brahmand ki maalik hain.

Mukhya Bindu:

  • Prakrati Durga sabhi devtaon, Brahma, Vishnu aur Shiv ki mata hain।
  • Srishti ke teen karyon ka vibhajan unhone kiya – Brahma (rachna), Vishnu (palan), Shiv (sanhar)।
  • Brahma, Vishnu aur Mahesh hi 3 gun hai – Rajgun Brahma, Satgun Vishnu and Tamgun Shiv.
  • Durga maa trigunatmak devtaon ke upar sthit paramshakti hain aur sabhi unki mahamaya ke anusar niyamit karya karte rahte hain।
  • Devi Bhagwat Puran ke anusaar, Durga maa hi samast srishti ka mool karan hain।

1 Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *